meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai
ye zindagi ban gai hai man aur mujh ko bachcha bana diya hai
jise kami ho wo aa ke le jae meri hasti se apna hissa
mujhe ye lagta hai us ne mujh ko bahut ziyaada bana diya hai
use KHabar thi ki hum visal aur hijr ek sath chahte hain
to us ne aadha ujaD rakkha hai aur aadha bana diya hai
main jaanta hun magar mujhe us fareb mein lutf aa raha hai
sarab hai wo jise meri tishnagi ne dariya bana diya hai
teri mohabbat ki KHair jis ne jala ke KHashak-e-jism-o-jaan ko
wo aag bhaDkai jis ne patthar ko aabgina bana diya hai
to aur kya chahiye tumhein ek zamin de di kitab jaisi
aur aasman par kalam karta hua sitara bana diya hai
wo pir-e-mai-KHana-e-falak in dinon bahut mehrban hai mujh par
to KHud surahi bana hua hai mujhe piyala bana diya hai
Ghazal
Meri mohabbat mein sari duniya ko ek khilauna bana diya hai
Farhat Ehsas