اردو हिंदी
Meri masti ke afsane rahenge | Shaahi Shayari
meri masti ke afsane rahenge

Ghazal

Meri masti ke afsane rahenge

Kaleem Aajiz

;

meri masti ke afsane rahenge
jahan gardish mein paimane rahenge

nikale jaenge ahl-e-mohabbat
ab is mahfil mein begane rahenge

yahi andaz-e-mai-noshi rahega
to ye shishe na paimane rahenge

rahega silsila dar-o-rasan ka
jahan do chaar diwane rahenge

jinhen gulshan mein Thukraya gaya hai
unhi phulon ke afsane rahenge

KHirad zanjir pahnati rahegi
jo diwane hain diwane rahenge