meri KHamoshi ko bhi ek sada samajhte rahe
main kya tha aur mujhe log kya samajhte rahe
hamari nasl ko ujlat ne na-murad kiya
zara se shor ko ye der-pa samajhte rahe
ye dost mere mujhe aaj tak na jaan sake
main ek dard tha lekin dawa samajhte rahe
dikhai deta tha ye shahr meri aankhon se
yahan ke log mujhe aaina samajhte rahe
KHayal-e-yar ki chadar thi ek KHwab 'aziz'
ye aur baat use hum qaba samajhte rahe
Ghazal
Meri KHamoshi ko bhi ek sada samajhte rahe
Waqas Aziz