meri KHak us ne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya 
main jab aa saka na shumar mein mujhe be-shumar bana diya 
tera naqsh utra sar-e-waraq to tasarruf-e-lab-o-chashm se 
bhare rang main ne kuchh is tarah ise shahkar bana diya 
tere juzw juzw KHayal ko rag-e-jaan mein pura utar kar 
wo jo bar bar ki shakl thi use ek bar bana diya 
mujhe nang-e-naqsh hi kab kiya bharin us ne aisi siyahiyan 
ki mere hi kucha o shahr mein mujhe ishtihaar bana diya 
ye nahin ki us ne durida-tan sar-e-naKHl-e-KHar piro diya 
meri dhajjiyon ko bhi khinch kar mujhe tar tar bana diya
        Ghazal
Meri KHak usne bikher di sar-e-rah ghubar bana diya
Iqbal Kausar

