اردو हिंदी
Meri KHak mein wila ka na koi sharar hota | Shaahi Shayari
meri KHak mein wila ka na koi sharar hota

Ghazal

Meri KHak mein wila ka na koi sharar hota

Zulfiqar Naqvi

;

meri KHak mein wila ka na koi sharar hota
na hi dil se aag uThti na ye be-qarar hota

mere sar pe hath rakhna jo tera shiar hota
main na dar-ba-dar bhaTakta kahin aar-par hota

main rahin-e-qalb-e-muztar tu charagh-e-shadmani
teri mahfil-e-tarab mein kahan dil-figar hota

teri be-KHudi ne ai dil kisi kaam ka na chhoDa
teri baat Tal deta to na KHud pe bar hota

tere husn ki kahani meri chashm-e-tar se nikli
main na ashk-bar hota to na aashkar hota

agar is pe baiTh jata koi murgh-e-na-umidi
mera naKHl-e-arzu phir kahan saya-dar hota