اردو हिंदी
Meri kahani teri kahani se muKHtalif hai | Shaahi Shayari
meri kahani teri kahani se muKHtalif hai

Ghazal

Meri kahani teri kahani se muKHtalif hai

Azhar Abbas

;

meri kahani teri kahani se muKHtalif hai
ki jaise aankhon ka pani, pani se muKHtalif hai

wo ek lamha jo dastaras mein nahin raha hai
wo zindagi bhar ki raigani se muKHtalif hai

ye jhil aankhen hamein jo paigham de rahi hain
wo tere honTon ki tarjumani se muKHtalif hai

teri judai ka hadsa aisa hadsa hai
jo har haqiqat se har kahani se muKHtalif hai

main dasht-e-wahshat ki ret hun aur tu ek dariya
meri rawani teri rawani se muKHtalif hai