اردو हिंदी
Meri judai mein aansu bahae jate hain | Shaahi Shayari
meri judai mein aansu bahae jate hain

Ghazal

Meri judai mein aansu bahae jate hain

Laxmi Narayan Farigh

;

meri judai mein aansu bahae jate hain
ye fitna meri lahad par jagae jate hain

ziya-e-husn ko dargah-e-dil tarasti hai
charagh dair-o-haram mein jalae jate hain

nahin satate kisi ko bhi jo zamane mein
wahi zamane mein akasr satae jate hain

ziya-e-husn se hota hai jin ka dil mamur
charagh gor par un ki jalae jate hain

fasanon se nahin bantin haqiqaten lekin
haqiqaton se fasane banae jate hain

kahin ghurur takabbur kahin futur-e-KHudi
hamari rah mein rahzan biThae jate hain

adab ki mahfil-e-rangin mein raat-din 'farigh'
mere fasane hi akasr sunae jate hain