اردو हिंदी
Meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain | Shaahi Shayari
meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain

Ghazal

Meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain

Asar Sahbai

;

meri har sans ko sab naghma-e-mahfil samajhte hain
magar ahl-e-dil aawaz-e-shikast-e-dil samajhte hain

guman kashana-e-rangin ka hai jis par nigahon ko
use ahl-e-nazar gard-e-rah-e-manzil samajhte hain

ilahi kashti-e-dil bah rahi hai kis samundar mein
nikal aati hain maujen hum jise sahil samajhte hain

tarab-angez hain ranginiyan fasl-e-bahaari ki
magar bulbul unhen KHun-e-rag-e-bismil samajhte hain

pighal kar dil lahu ho ho ke bah jata hai aankhon se
sitam hai shama ko jo zinat-e-mahfil samajhte hain

kahan hoga Thikana barq-raftari un ki wahshat ka
ki wo manzil ko bhi sang-e-rah-e-manzil samajhte hain

bagule uD rahe hain jo hamare dasht-e-wahshat mein
unhin ko ai 'asar' hum parda-e-mahmil samajhte hain