meri har KHushi KHushi thi teri har KHushi se pahle
mujhe koi gham nahin tha gham-e-ashiqi se pahle
koi kashmakash nahin thi gham-e-dushmani se pahle
mujhe KHauf hi kahan tha teri dosti se pahle
na bahaar-e-mai-kada thi na surur-baKHsh naghme
tere mai-kade mein kya tha meri mai-kashi se pahle
main duaen chahta hun main dua ka mustahiq hun
tumhein kaun jaanta tha meri dosti se pahle
hui sham-e-husn raushan to main ban gaya patanga
teri bandagi thi suni meri zindagi se pahle
kahin tirgi thi 'maikash' kahin tirgi ke Dere
kahin raushni nahin thi meri raushni se pahle
Ghazal
Meri har KHushi KHushi thi teri har KHushi se pahle
Maikash Nag Puri