meri giraft mein hai taer-e-KHayal mera
magar uDae liye ja raha hai jal mera
yaqin itna nahin mera jitna nabz ka hai
meri zaban se sunta nahin wo haal mera
kamal ki wo imarat meri hui mismar
khanDar ki shakl mein baqi raha zawal mera
faza mein jhonk de aandhi ke baad pani bhi
uDai KHak to ab KHun bhi uchhaal mera
zaban apni badalne pe koi raazi nahin
wahi jawab hai us ka wahi sawal mera
main sar kiye hue baiTha hun ek nai choTi
kuchh aur fasle se dekh ab kamal mera
Ghazal
Meri giraft mein hai taer-e-KHayal mera
Ghulam Murtaza Rahi