اردو हिंदी
Meri duniya ka mehwar muKHtalif hai | Shaahi Shayari
meri duniya ka mehwar muKHtalif hai

Ghazal

Meri duniya ka mehwar muKHtalif hai

Hamida Shahin

;

meri duniya ka mehwar muKHtalif hai
na is mein aa ye chakkar muKHtalif hai

mujhe aatish-ba-jaan rakkha gaya hai
meri miTTi ka jauhar muKHtalif hai

mujhe likhne se pahle soch lena
mera kirdar yaksar muKHtalif hai

main KHwabon se ziyaada TuTti hun
ki maujud-o-mayassar muKHtalif hai

zara si mauj par hairan mat ho
yahan sara samundar muKHtalif hai

koi manus KHushbu sath utri
lahu bola ye nashtar muKHtalif hai

sitara hai koi gul hai ki dil hai
teri Thokar mein patthar muKHtalif hai

tere giton ka matlab aur hai kuchh
hamara dhun sarasar muKHtalif hai

safar ka rang o ruKH ab tak wahi hai
munadi thi ki rahbar muKHtalif hai

kisi jaanib se to aae bashaarat
faza badli hai manzar muKHtalif hai