meri duaon ki sab naghmagi tamam hui
sahar to ho na saki aur phir se sham hui
khula jo mujh pe sitam-gah-e-waqt ka manzar
to mujh pe aish o tarab jaisi shai haram hui
mere wajud ka sahra jahan mein phail gaya
mere junun ki nahusat zamin ke nam hui
abhi giri meri diwar-e-jism aur abhi
bisat-e-dida-o-dil sair-gah-e-am hui
tu la-makan mein rahe aur main makan mein asir
ye kya ki mujh pe itaat teri haram hui

Ghazal
Meri duaon ki sab naghmagi tamam hui
Yaqoob Yawar