meri din ke ujalon par nazar hai
sitaron ka karishma raat bhar hai
wo hansta hai magar ruKHsar nam hain
ye shayad pichhle mausam ka asar hai
kisi ki aib-jui hi kiya kar
abhi ke daur mein ye bhi hunar hai
yahan ke sare mausam ek se hain
yahi is shahr ki taza KHabar hai
sipahi jang se kab lauTte hain
wo koi aur hai zinda agar hai
akela raat ko din kar raha hun
meri gardish mein shamil har bashar hai
ye jugnu kal ka suraj dewta hai
magar ye tirgi par munhasir hai
KHuda to ek hai lekin suna hai
zamana ek ke aage sifar hai
Ghazal
Meri din ke ujalon par nazar hai
Rasool Saqi