meri Dagar se bhi ek din guzar ke dekh zara
ai aasman zamin par utar ke dekh zara
dhaDakne lagte hain diwar-o-dar bhi dil ki tarah
ki sang-o-KHisht mein kuchh sans bhar ke dekh zara
har ek aib hunar mein badal bhi sakta hai
hisab apne gunahon ka kar ke dekh zara
tu chup rahega tere hath-paon bolenge
yaqin na aae to ek rose mar ke dekh zara
uThe jidhar bhi nazar raushni udhar jae
karishme kaise hain us ki nazar ke dekh zara
masiha ho ke bhi hota nahin masiha koi
tu zaKHm zaKHm kisi din bikhar ke dekh zara
KHamoshiyon ko bhi 'talib' zaban hai ki nahin
sukut-e-dariya ke andar utar ke dekh zara
Ghazal
Meri Dagar se bhi ek din guzar ke dekh zara
Murlidhar Sharma Talib