meri dastan mujhe hi mera dil suna ke roe
kabhi ro ke muskurae kabhi muskura ke roe
mile gham se apne fursat to main haal puchhun un ka
shab-e-gham se koi kah de kahin aur ja ke roe
hamein wasta taDap se hamein kaam aansuon se
tujhe yaad kar ke roe ya tujhe bhula ke roe
wo jo aazma rahe the meri be-qarariyon ko
mere sath sath wo bhi mujhe aazma ke roe
Ghazal
Meri dastan mujhe hi mera dil suna ke roe
Rajinder Krishan