اردو हिंदी
Meri bhi man mera aks mat dikha mujhko | Shaahi Shayari
meri bhi man mera aks mat dikha mujhko

Ghazal

Meri bhi man mera aks mat dikha mujhko

Bimal Krishn Ashk

;

meri bhi man mera aks mat dikha mujh ko
main ro paDunga mere samne na la mujh ko

main band kamre ki majburiyon mein leTa raha
pukarti phiri bazar mein hawa mujh ko

tu samne hai to aawaz kaun sunta hai
jo ho sake to kahin dur se bula mujh ko

tu aks ban ke mere aaine mein baiTha raha
tamam umar koi dekhta hua mujh ko

waraq waraq yun hi phirta rahun kahan tak main
kitab jaan ke book-shelf par saja mujh ko

KHuda to ab bhi hai wo 'ashk' kya bigaD jata
agar wo aur tariqe se sochta mujh ko