meri be-rishta-dili se use maza mil jae
jigar kabab jo koi jala-bhuna mil jae
muhaal hai jo KHuda ka do dusra paida
jawab kya sanam-e-la-jawab ka mil jae
mile na id wo zalim jo id-e-qurban mein
gale se tegh mile tegh se gala mil jae
ayal-o-mal ne roka hai dam ko aankhon mein
ye Thag haTen to musafir ko rasta mil jae
milen ali-o-mohammad to rab mile ai 'shad'
siwae sang buton ke mile se kya mil jae
Ghazal
Meri be-rishta-dili se use maza mil jae
Shad Lakhnavi

