meri auqat wo is tarah bata deta hai
KHak le kar ke hawaon mein uDa deta hai
main bahut dur chala jata hun jab bhi KHud se
mere andar se koi mujh ko sada deta hai
lakh karta raha main us ko bhulane ki sai
yaad rah rah ke koi us ki dila deta hai
jab bhi chaha ki use baDh ke main fauran chhu lun
kachchi nindon se koi mujh ko jaga deta hai
us se wabasta hain kuchh aisi purani yaaden
jab bhi aata hai meri nind uDa deta hai

Ghazal
Meri auqat wo is tarah bata deta hai
Naseem Ahmad Naseem