meri ana mere dushman ko taziyana hai
isi charagh se raushan gharib-KHana hai
main ek taraf hun kisi kunj-e-kam-numai mein
aur ek samt jahan-dari-e-zamana hai
ye taeron ki qataren kidhar ko jati hain
na koi dam bichha hai kahin na dana hai
abhi nahin hai mujhe maslahat ki dhup ka KHauf
abhi to sar pe baghawat ka shamiyana hai
meri ghazal mein rajaz ki hai ghan-garaj to kya
suKHan-wari bhi to kar-e-sipahiyana hai
Ghazal
Meri ana mere dushman ko taziyana hai
Asad Badayuni