meri aawaz sun kar zindagi bedar ho jaise
teri aawaz ka saya ufuq ke par ho jaise
tulu-e-subh ka manzar mere andar hai KHwabida
mere andar zamanon ki hasin takrar ho jaise
main har diwar ke donon taraf yun dekh leta hun
mera hi dusra hissa pas-e-diwar ho jaise
shajar ki Tahni Tahni mein hain kitne raaz poshida
har ek jangal ka har ek peD pur-asrar ho jaise
abhi hum ghumte phirte hain be-samti ke jangal mein
hamara zindagi bhar ka safar be-kar ho jaise
main gahre paniyon mein Dubta 'anjum' jazira hun
meri duniya parindon ki hasin chahkar ho jaise
Ghazal
Meri aawaz sun kar zindagi bedar ho jaise
Anjum Niyazi