meri aankhon mein manzar dhul raha tha
sar-e-mizhgan sitara ghul raha tha
bahut se lafz dastak de rahe the
sukut-e-shab mein rasta khul raha tha
jo ugla waqt ke aatish-fishan ne
wo lamha KHak mein phir rul raha tha
hua tha qurmuzi pani jahan se
wahan kal sham tak ek pul raha tha
tumhaare nam se aage ka rasta
ajal ki aahaTon mein khul raha tha
Ghazal
Meri aankhon mein manzar dhul raha tha
Ambarin Salahuddin