meri aankhon mein dariya jhulta hai
ye pani ab kinara DhunDta hai
ye pani ret ki tah se guzar kar
talluq hai to rasta DhunDta hai
talluq ko na samjho jawedani
ye aaina hawa se TuTta hai
hamari pyas ruKHsat chahti hai
pyala hath se ab chhuTta hai

Ghazal
Meri aankhon mein dariya jhulta hai
Kishwar Naheed