اردو हिंदी
Meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar | Shaahi Shayari
meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

Ghazal

Meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar

Aziz Hamid Madni

;

meri aankhen gawah-e-talat-e-atish huin jal kar
pahaDon par chamakti bijliyan niklin udhar chal kar

zaban ka zaiqa bigDa hua hai mai pila saqi
sumum-e-dasht ne sab rakh diye kaam-o-dahan tal kar

rumuz-e-zindagi sikhe hain mere shauq-e-wahshat ne
kai sahib-nazar zindaniyon ke bich mein pal kar

ye kis zauq-e-numu ko aaj dohrane bahaar aai
lahu hum sarfaroshon ka jabin-e-naz par mal kar

wo jin ki KHu se kal ek abr-e-tar KHwab-e-mohabbat tha
unhi ko rakh diya phir kyun khule hathon se mal-dal kar

ruKH-e-dauran pe hai ek nil sa karb-e-taghayyur se
waraq tanbe ka kho deta hai rangat aag mein gal kar

hari shamen si anguron ki belon mein jo chamkin thin
wahi ab surKH rangon mein jali hain jam mein Dhal kar

wahi ek ru-e-atish-rang hai halki si dastak hai
samundar par ki mauj-e-hawa jati nahin Tal kar

jab aai saat-e-be-tab teri be-libasi ki
to aaine mein jitne zawiye the rah gae jal kar

mahak mein zahr ki ek lahr bhi KHwabida rahti hai
ziden aapas mein Takraati hain farq-e-mar-o-sandal kar

shab-e-afsana-KHwan to shahr ki aaKHir hui 'madni'
kahan jate ho tum nikle hue yun nind mein chal kar