meri aah-o-fughan kuchh bhi nahin hai
jale dil ka dhuan kuchh bhi nahin hai
na taDpaya kisi zalim ko us ne
meri tarz-e-bayan kuchh bhi nahin hai
jahan ho bijliyon ka KHauf paiham
sukun-e-ashiyan kuchh bhi nahin hai
har ek shai ban gai shishe ki manind
ab apne darmiyan kuchh bhi nahin hai
KHuda go zarre zarre se ayan hai
magar zarra yahan kuchh bhi nahin hai
jo dekho to sabhi kuchh hai jahan mein
jo samjho to jahan kuchh bhi nahin hai
tawanai ki duniya mein ai 'maghmum'
bisat-e-na-tawan kuchh bhi nahin hai
Ghazal
Meri aah-o-fughan kuchh bhi nahin hai
Gorbachan Singh Dayal Maghmum