meri aah be-asar hai main asar kahan se laun
tere pas tak jo pahunche wo nazar kahan se laun
mujhe bhul jaane wale tujhe kis tarah bhulaun
jise dard ras aae wo jigar kahan se laun
mere rizq-e-bandagi ko tere dar se wasta hai
jo jhuke baru-e-kaba main wo sar kahan se laun
mere pas dil ke TukDe mere pas KHun ke aansu
tu hai sim-o-zar ki dewi to main zar kahan se laun
shab-e-gham ke ye andhere mera sath de rahe hain
jo miTae zulmaton ko wo sahar kahan se laun
wahi barq jis ne gir kar meri zindagi jala di
main usi ko DhunDta hun wo sharar kahan se laun
meri zindagi hai 'shewan' kuchh ajib kashmakash mein
wo asar ko chahte hain main asar kahan se laun
Ghazal
Meri aah be-asar hai main asar kahan se laun
Shevan Bijnauri