meri aaankhon mein aa dil mein utar paiwand-e-jaan ho ja
main benam-o-nishan hun tu mera nam-o-nishan ho ja
kabhi to aaKHir-e-shab phul sa khil mere aangan mein
kabhi mere nawah-e-jism mein KHushbu-e-jaan ho ja
tu mere dasht-e-harf-o-saut ko barg-e-KHamoshi de
tu meri aankh mein gum-gashta-e-hairat-nishan ho ja
magar ye zat ka ban-bas kab tak bhogna hoga
kisi parbat ke pichhe se bula, kuchh mehrban ho ja
meri raaton ko qatra qatra shabnam banTne wale
kabhi manind-e-dariya meri aaankhon se rawan ho ja
wo dekho kahkashan sa ek jazira muntazir apna
mujhe nayya bana apni tu mera baadban ho ja
Ghazal
Meri aaankhon mein aa dil mein utar paiwand-e-jaan ho ja
Ahmad Shanas