mere wajud mein wo is tarah samo jae
jo mere pas hai sab kuchh usi ka ho jae
abhi to aankh ke andar hai tairta aansu
Tapak paDa to na ghar hi kahin Dubo jae
KHushi mile bhi to ye dil udas rahta hai
bas ek KHauf sa rahta hai kuchh na ho jae
tumhein yaqin hai ki manzil hai do hi qadmon par
mujhe ye Dar hai kahin rasta na kho jae
tamam qafila ab jagta hai is Dar se
kahin amir na ghaflat ki nind so jae
kabhi to KHwab bhi tabir pa saken apne
ye daeron ka safar jo tamam ho jae
Ghazal
Mere wajud mein wo is tarah samo jae
Jaleel Haider Lashari