mere wajud mein the dur tak andhere bhi
kahin kahin pe chhupe the magar sawere bhi
nikal paDe the to phir rah mein Thaharte kya
yun aas-pas kai peD the ghanere bhi
ye shahr-e-sabz hai lekin bahut udas hue
ghamon ki dhup mein jhulse hue the Dere bhi
hudud-e-shahr se bahar bhi bastiyan phailin
simaT ke rah gae yun jangalon ke ghere bhi
samundaron ke ghazab ko gale lagae hue
kaTe-phaTe the bahut dur tak jazire bhi
Ghazal
Mere wajud mein the dur tak andhere bhi
Khaleel Tanveer