mere wajud ki gahraiyon mein rahta hai
wo ek shaKHs jo tanhaiyon mein rahta hai
qarib-e-jaan wahi aata hai dastaken dene
jo mere jism ki parchhaiyon mein rahta hai
mera makan bhi wahshat-kada bana hua hai
ajab tazad mere bhaiyon mein rahta hai
wo jhuT itni safai ke sath bolta hai
ki us ka zikr bhi sachchaiyon mein rahta hai
ek ishtial darun-e-wajud-e-insani
dil-e-figar ki pahnaiyon mein rahta hai
malamat-e-shab-e-hijran ke baad tera 'qamar'
jahan bhi jata hai ruswaiyon mein rahta hai

Ghazal
Mere wajud ki gahraiyon mein rahta hai
Qamar Abbas Qamar