mere wajud ke aangan mein KHwab raushan tha
sawad-e-hijr mein taza gulab raushan tha
kali kali ki zaban par azab raushan tha
ai ham-safar dil-e-KHana-KHarab raushan tha
ye kis hisab mein jheli hai main ne dar-ba-dari
tere sawal-e-badan par jawab raushan tha
main apni aag se khela main apne aap jala
hisar-e-lams mein utra sahab raushan tha
tu rat-jagon ki masafat mein gum hua 'KHurshid'
ek aaftab pas-e-aftab raushan tha

Ghazal
Mere wajud ke aangan mein KHwab raushan tha
Aazam Khursheed