mere wajud abhi na-tawan nahin hona
phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona
kise KHabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang
zamin ka hona magar aasman nahin hona
hamein KHabar hai ki wahshat Thikane lagni hai
hamara josh abhi raegan nahin hona
wajud apna hai aur aap tai karenge hum
kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona
ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein
ab is se aage ka qissa bayan nahin hona
hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan
ki qabren honi magar aastan nahin hona
maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid
ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona
main KHandan ka sab se baDa madari hun
tamasha hota rahega yahan nahin hona
bas itni duri mayassar rahegi donon ko
ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona
ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein
hamare waste ja-e-aman nahin hona
ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki
phir is ke baad koi imtihan nahin hona
ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali'
hamare hone ka hum ko guman nahin hona
Ghazal
Mere wajud abhi na-tawan nahin hona
Liaqat Jafri