mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai
ye dil apni hadon mein rah ke itna TuT jata hai
main roun to dar-o-diwar mujh par hansne lagte hain
hansun to mere andar jaane kya kya TuT jata hai
main jis lamhe ki KHwahish mein safar karta hun sadiyon ka
kahin panw-tale aa kar wo lamha TuT jata hai
mere KHwabon ki basti se janaze uThte jate hain
meri aankhen jise chhu len wo sapna TuT jata hai
na jaane kitni muddat se hai dil mein ye amal jari
zara si Thes lagti hai zara sa TuT jata hai
dil-e-nadan hamari to numu hi na-mukammal thi
to hairat kya jo bante hi irada TuT jata hai
muqaddar mein mere 'sagar' shikast-o-reKHt itni hai
main jis ko apna kah dun wo sitara TuT jata hai

Ghazal
Mere wahm-o-guman se bhi ziyaada TuT jata hai
Salim Sagar