mere waste jahan mein koi dilkashi nahin hai
ki tere baghair jina koi zindagi nahin hai
teri zat ke alawa mujhe aur chahiye kya
tu agar hai sath mere mujhe kuchh kami nahin hai
wo nazar nazar nahin hai na ho jis mein aks tera
koi dil hai wo bhi jis mein gham-e-ashiqi nahin hai
koi wasta nahin hai jise dard-e-digaran se
wo hai aadmi ka paikar magar aadmi nahin hai
mere dosto na dekho mujhe chashm-e-KHashmagin se
ki rahin-e-baada-noshi meri be-KHudi nahin hai
mere dil ke dagh tu hi zara aur lau baDha de
shab-e-gham hai tera tera kahin raushni nahin hai
meri baat sun ke 'aKHtar' suni an-suni na kar do
ye hadis-e-jaan-o-dil he niri shairi nahin hai
Ghazal
Mere waste jahan mein koi dilkashi nahin hai
Akhtar Muslimi