mere suKHan ko wo eajaz de KHuda-e-suKHan
ki harf harf bane ganj-e-be-bahae-suKHan
sukut toDe kabhi tu bhi dil ki baat kahe
KHuda kare kabhi tere bhi lab pe aae suKHan
ghazab KHuda ka kaDi dhup ka tawil safar
aur us safar ka asasa bas ek rida-e-suKHan
hadis-e-gham ka bayan hai baghair-e-jumbish-e-lab
hai KHamushi bhi meri ain muddaa-e-suKHan
badan se lipTi rahi tar tar ho kar bhi
hamein aziz bhala kyun na ho qaba-e-suKHan
hikayat-e-gham-e-dil kah ke sine paD gae lab
hamein ye chup bhi lagi hai to bar-bina-e-suKHan
nibhe to kaise nibhe ab ye sochna hai 'waqar'
ki wo suKHan se gurezan hai main fida-e-suKHan

Ghazal
Mere suKHan ko wo eajaz de KHuda-e-suKHan
Waqar Manvi