mere sheron mein fankari nahin hai
ki mujh mein itni hushyari nahin hai
dawa-e-maut kyun lete ho itni
agar jine ki bimari nahin hai
badan phir se uga legi ye miTTi
ki main ne jaan abhi haari nahin hai
mohabbat hai hi itni saf-o-sada
ye meri sahl-angari nahin hai
ise bachchon ke hathon se uThao
ye duniya is qadar bhaari nahin hai
main us patthar se Takraata hun be-kar
zara bhi us mein chingari nahin hai
na kyun sajda kare apne buton ka
ye sar masjid ka darbari nahin hai
gaya ye kah ke mujh se ishq ka rog
ki tujh ko shauq-e-bimari nahin hai
hamara ishq karna jism ke sath
ibaadat hai gunahgari nahin hai
ba-rah-e-jism hai sara tasawwuf
badan sufi hai braham-zhaari nahin hai
ye koi aur hoga 'farhat-ehsas'
nahin ye bhi meri bari nahin hai
Ghazal
Mere sheron mein fankari nahin hai
Farhat Ehsas