mere shajar tujhe mausam naya banate rahen
gulab-e-sabr teri Tahniyon pe aate rahen
jo doston ki kamanon ko tir deta hai
hamein ye zarf bhi baKHshe ki zaKHm khate rahen
bas ek charagh hai apni mata-e-besh-baha
so sham aati rahe hum use jalate rahen
sahar ke rang darichon ko sair karte jaen
hawa ke jhonke khule aanganon mein aate rahen
kabhi kabhi koi suraj tulu hota rahe
rida-e-abr mein tare bhi munh chhupate rahen
fasil-e-shahr-e-ana rafta rafta girti jae
ye zalzale meri jaan mein hamesha aate rahen
Ghazal
Mere shajar tujhe mausam naya banate rahen
Asad Badayuni