mere sathiyo mere hamdamo ye baja ki tez-KHiram hun
mere sath sath chale chalo mein nai sahar ka payam hun
mere naqsh-e-pa na miTe agar to chamak uThenge ye raste
mere qafile ko KHabar karo main harif-e-zulmat-e-sham hun
wahi roz-o-shab wahi zulmaten wahi marhale wahi gardishen
jo kabhi tamam na ho sake wo hadis-e-nim-tamam hon
kahin subh hai kahin sham hai mujhe KHud bhi apna pata nahin
mera kya suragh mile tumhein abhi be-dayar-o-qayam hun
dil-e-dard-mand ko aaj bhi hai 'mujib' hasrat-e-raaz-dan
main wo ek naghma-e-arzu ki KHud apne lab pe haram hun
Ghazal
Mere sathiyo mere hamdamo ye baja ki tez-KHiram hun
Mujeeb Khairabadi