mere qarib se guzre mujhe sada bhi na de
zaban ko lafz nigahon ko hausla bhi na de
ab us se kaise talluq ki aarzu rakkhen
dua-e-KHair to kya wo ki bad-dua bhi na de
ye chandni main gilason mein ghol dun na kahin
main chahta hun wo yaadon ka aasra bhi na de
hamin pe sajte hain yaro sharab bhi gham bhi
KHuda ke waste ab koi mashwara bhi na de
meri nigah usi ruKH ki hai asir 'tapish'
jo apne ruKH se kisi baat ka pata bhi na de
Ghazal
Mere qarib se guzre mujhe sada bhi na de
Moni Gopal Tapish