اردو हिंदी
Mere qarib hi mahtab dekh sakta tha | Shaahi Shayari
mere qarib hi mahtab dekh sakta tha

Ghazal

Mere qarib hi mahtab dekh sakta tha

Idris Babar

;

mere qarib hi mahtab dekh sakta tha
gae dinon mein ye talab dekh sakta tha

ek aise waqt mein sab peD main ne naql kiye
jahan pe main inhen shadab dekh sakta tha

ziyaada der usi naw mein Thaharne se
main apne-ap ko gharqab dekh sakta tha

koi bhi dil mein zara jam ke KHak uData to
hazar gauhar-e-nayab dekh sakta tha

kahaniyon ne meri aadaten bigaD di thin
main sirf sach ko zafar-yab dekh sakta tha

magar wo shahr kahani mein rah gaya hai dost!
jahan main rah ke tere KHwab dekh sakta tha