mere pahlu se jo nikle wo meri jaan ho kar
rah gaya shauq dil-e-zar mein arman ho kar
zist do roza hai hans-khel ke kaTo is ko
gul ne ye raaz bataya mujhe KHandan ho kar
ashk-e-shadi hai ye kuchh muzhda saba lai hai
shabnam-aluda hua phul jo KHandan ho kar
zarra-e-wadi-e-ulfat pe munasib hai nigah
falak-e-husn pe KHurshid-e-daraKHshan ho kar
shoKHiyan us nigah-e-zer-e-mizha ki mat puchh
dil-e-ashiq mein khubi jati hai paikan ho kar
shiddat-e-shauq-e-shahadat ka kahun kya aalam
tegh-e-qatil paDi sar pe mere ehsan ho kar
ab to wo KHabt mere ishq ko kah kar dekhen
KHud hi aaine ko takne lage hairan ho kar
Ghazal
Mere pahlu se jo nikle wo meri jaan ho kar
Ghulam Bhik Nairang