mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai
mohabbat ki kahani mein mera kirdar zinda hai
usi ke nam se har-waqt mera dil dhaDakta hai
main zinda is liye hun ki mera dildar zinda hun
jahan kal har qadam par muskurahaT raqs karti thi
main KHush hun aaj bhi wo raunaq-e-bazar zinda hai
yahan dekha hai main ne KHud-suron ko KHak mein milte
tera sar jhuk gaya lekin mera inkar zinda hai
musawwir ne to sari dilkashi taswir mein bhar di
rahega fan salamat jab talak fankar zinda hai
meri tahzib mere sath hai mahw-e-safar har-dam
mere afkar zinda hain mera izhaar zinda hai
'iram' par dhup ka ehsas ghaalib aa nahin sakta
mere sar par abhi tak saya-e-diwar zinda hai
Ghazal
Mere panw mein pael ki wahi jhankar zinda hai
Erum Zehra