mere nishan bahut hain jahan bhi hota hun
magar dar-asl wahin be-nishan bhi hota hun
usi ke rahta hun KHwab-o-KHayal mein aksar
magar kabhi kabhi apne yahan bhi hota hun
idhar udhar mujhe rakhta hai wo bahut lekin
kabhi-kabhaar magar darmiyan bhi hota hun
laga bhi karti hai bazar mein meri qimat
kisi kisi ke liye raegan bhi hota hun
banae rakhte hain sab mir-e-karwan bhi mujhe
kabhi main gard-e-rah-e-karwan bhi hota hun
bashar hun main kai majburiyan bhi hain meri
udas rahte hue shadman bhi hota hun
paDa TheThurta bhi hun barf barf mausam mein
usi zamane mein aatish-fishan bhi hota hun
badalti rahti hai meri bhi kaifiyat kya kuchh
ki aag hi nahin rahta dhuan bhi hota hun
main jaan-o-jism hun ghar ho ki wo gali ho 'zafar'
yahan bhi hota hun main aur wahan bhi hota hun
Ghazal
Mere nishan bahut hain jahan bhi hota hun
Zafar Iqbal