mere nalon mein itna to asar hai
shab-e-gham hai magar kuchh muKHtasar hai
ummiden lae the gham le ke uThe
ye rudad-e-hayat-e-muKHtasar hai
nahin hai dur kuchh manzil hamari
zamana rah mein hail magar hai
asiron ko rihai mil to jae
magar shart-e-shikast-e-baal-o-par hai
wo rahen jin ko suna kar gae wo
unhin par aaj tak meri nazar hai
jahan tum ho wahan hain lala o gul
jahan hum hain wahan barq-o-sharar hai
badal Dala hai jis ne mera aalam
kisi ki ek nigah-e-muKHtasar hai
ilahi KHair mere aashiyan ki
saba ke sath phir mauj-e-sharar hai
mah o KHurshid ko samjha hai manzil
KHudaya kis qadar aajiz bashar hai
Ghazal
Mere nalon mein itna to asar hai
Mumtaz Mirza