mere muqaddar mein jo likha tha nasib se wo pahunch na paya
gira to tha aasman se kuchh khajur mein rah gaya aTak kar
musibat aa to gai thi lekin hui wo aap ulTe panw ruKHsat
laga jo tha zindagi ka kanTa nikal gaya chaar din khaTak kar
wahan hain ab hum ki kya bataen wo pech-o-KHam hain ki kuchh na puchho
ye chaal rah-e-talab ki dekho ki chal rahi hai maTak maTak kar
ye kaisi wahshat-asar KHabar hai pata to ai baghban lagana
khaDe hue kan kyun gulon ke kali ne kya kah diya chaTak kar
kiya jo Dar Dar ke arz-e-matlab to mujh se ye kah diya unhon ne
sabaq nahin yaad abhi ye tum ko suna rahe ho aTak aTak kar
KHud apna rasta sudhaar 'natiq' na fikr kar shaiKH-o-barahman ki
wahin to jate hain raste sab koi kahan jaega bhaTak kar
Ghazal
Mere muqaddar mein jo likha tha nasib se wo pahunch na paya
Natiq Lakhnavi