اردو हिंदी
Mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai | Shaahi Shayari
mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai

Ghazal

Mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai

Ghubaar Bhatti

;

mere muddaa-e-ulfat ka payam ban ke aai
teri zulf ki siyahi meri sham ban ke aai

hui kashif-e-haqiqat ye zamir-e-mai-kada ki
meri be-KHudi jo durd-e-tah-e-jam ban ke aai

teri ek ada thi ye bhi gul-o-KHar ko jagane
jo nasim-e-subh-gahi ka KHiram ban ke aai

ye saba ki be-ruKHi thi su-e-ashiyan jo guzri
na salam le ke aai na payam ban ke aai

mere gham-kade mein phuTi jo shua dagh-e-dil se
wahi ek charagh-e-taq-e-sar-e-sham ban ke aai

sar-e-tur jis ki juya thi nigah-e-chashm-e-musa
wahi ek jhalak farogh-e-lab-e-baam ban ke aai

ruKH-o-zulf ki tamanna mere dil ko muzhda-baada
meri subh ban ke aai meri sham ban ke aai

hai bahut muhaal is ka jo 'ghubar' ma-badal ho
meri tirgi-e-qismat meri sham ban ke aai