اردو हिंदी
Mere miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota | Shaahi Shayari
mere miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota

Ghazal

Mere miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota

Nadir Shahjahanpuri

;

mere miTne pe gar tu bhi miTa hota to kya hota
tujhe bhi sabr ai dil aa gaya hota to kya hota

chale aate hain lakhon sarfaroshi ki tamanna mein
tera kucha agar darushshifa hota to kya hota

adam se main na aata is jahan mein gham uThane ko
agar hasti mujhe tera pata hota to kya hota

tujhi pe munsifi hai le tu hi insaf se kah de
agar teri tarah main bewafa hota to kya hota

sitare kyun dikhati mujh ko din bhar meri nakaami
wo shab ko mal ke afshan aa gaya hota to kya hota

sar-e-shorida ko main pattharon se phoDta phirta
but-e-kafir jo tu mera KHuda hota to kya hota

sabaat us ko nahin phir bhi fida hai hazrat-e-insan
jo ye dar-e-fana dar-e-baqa hota to kya hota

kisi ke pas rah kar bhi taDapte hijr mein 'nadir'
hamein jannat mein bhi kuchh aasra hota to kya hota