mere liye to ye saneha bhi naya nahin tha
masafat-e-jaan ka ham-safar bhi mera nahin tha
labon pe pahunche to nim-jaan the huruf sare
samaaton ka koi daricha khula nahin tha
na mil saki us ko raushni ki koi bashaarat
ki tirgi ka azab us ne saha nahin tha
nigah-e-gulshan mein jo khaTakta tha KHar ban ke
gale laga kar use jo dekha bura nahin tha
wo sahab-e-iKHtiyar-o-masnad wo mera munsif
wo hakim-e-mutlaq-ul-anan tha KHuda nahin tha
harim-e-jaan mein mahak raha hai wo harf-e-KHushbu
ki jo abhi shaKHsar-e-lab par khila nahin tha

Ghazal
Mere liye to ye saneha bhi naya nahin tha
Peer Akram