mere liye meri parwaz ke liye kam hai
hazar jast tag-o-taz ke liye kam hai
ye do jahan bhi mere liye nahin kafi
ye intiha mere aaghaz ke liye kam hai
ye mere qatl pe aamada kaun dikhta hai
ki narawa bhi dar-andaz ke liye kam hai
koi sada hai ki pi hai kisi papihe ki
guman ye kisi aawaz ke liye kam hai
rawana ki to gai hai pa kya kiya jae
ki ye kumak mere dam-saz ke liye kam hai
mujhe ghazal ke nae KHal-o-KHad banane hain
mera hunar mere eajaz ke liye kam hai
ilaj-e-chaara-garan aam kijiye 'mehdi'
tamam umr bhi is cause ke liye kam hai
Ghazal
Mere liye meri parwaz ke liye kam hai
Shaukat Mehdi