mere KHuda koi chhanw koi zamin koi ghar
hamare jaison ki qismat mein kyun nahin koi ghar
ai be-niyaz bata hashr kab muayyan hai
bahut larazne laga hai tah-e-jabin koi ghar
kamar pe lad ke chalte rahoge tanhai
tamam umr milega nahin kahin koi ghar
makan banne se koi jagah bachi hi nahin
hua to karta tha pahle kahin kahin koi ghar
koi azab tha jo sara shahr le Duba
ki chhoDte hain bhala is tarah makin koi ghar

Ghazal
Mere KHuda koi chhanw koi zamin koi ghar
Shahnawaz Zaidi