mere KHeme KHasta-haal mein hain mere raste dhund ke jal mein hain
mujhe sham hui hai jangal mein mere sare sitare zawal mein hain
mujhe rangon se koi shaghl nahin mujhe KHushbu mein koi daKHl nahin
mere nam ka koi naKHl nahin mere mausam KHak-e-malal mein hain
aakash hai qadmon ke niche dariya ka pani sar par hai
ek machhli naw pe baiThi hai aur sab machhuware jal mein hain
ye duniya akbar zulmon ki hum majburi ki anarkali
hum diwaron ke bich mein hain hum nargha-e-jabr-o-jalal mein hain
mere dil ke nur se baDh ke nahin meri jaan ke surur se baDh ke nahin
jo mah o mehr falak par hain jo lal o guhar patal mein hain
ek maghrib aaya mashriq mein meri fauj ke TukDe kar Dale
ab aadhe sipahi junub mein hain aur aadhe sipahi shumal mein hain
iman ki chhagal phuT gai aamal ki laThi TuT gai
hum aise gallabanon ke sab naqe KHauf-e-qital mein hain
Ghazal
Mere KHeme KHasta-haal mein hain mere raste dhund ke jal mein hain
Arshad Abdul Hamid